Ye duniya Kuch achi toh hai par kuch ajeeb si hai
Jo door ho Gaya hai humse vahi sabse Kareeb hai
Yun toh akele nahi hai, kafi log dost hone ka dawa karte hai
Par fir bhi mushkilo main kyun, hamesha apne ko akele paya karte hai
Yehi sochte hai hamesha ki Bhagwan sab dekhta hai
Par fir kyun voh logon k hahankar ko nahi todhta hai
Ye duniya Kuch achi toh hai par kuch ajeeb si hai
Yahan sabko jalan bas doosre k naseeb se hai
Kash bhagwaan ne aankhon main ik ayiena diya hota
Fir shayad kissi ne kissi ko dhoka na diya hota
Na jaane kyun log bhool jate hai ye ik sachi si Bas
Zindagi hai choti si has k jiyo , fir na jane mile na mile apno ka sath
-Ankita Bothra