Tuesday, July 24, 2018






Ye duniya Kuch achi toh hai  par  kuch ajeeb si hai 
Jo door ho Gaya hai humse vahi sabse Kareeb hai

Yun toh akele nahi hai,  kafi log dost hone ka dawa karte hai
Par fir bhi mushkilo main kyun,  hamesha apne ko akele paya karte hai 
 
Yehi sochte hai hamesha ki Bhagwan sab dekhta hai 
Par fir kyun voh logon k hahankar ko nahi todhta hai 

Ye duniya Kuch achi toh hai  par  kuch ajeeb si hai 
Yahan sabko jalan bas doosre k naseeb se hai 

Kash bhagwaan ne aankhon main ik ayiena diya hota  
Fir shayad kissi ne kissi ko dhoka na diya hota 

Na jaane kyun log  bhool jate hai ye ik sachi si Bas
Zindagi hai choti si has k jiyo , fir na jane mile na mile apno ka sath 

-Ankita Bothra

No comments:

Post a Comment